Saturday, 1 March 2014

Aayi tanhai ki kuch aisi raat hai,
Ke unse judi har yaad mere saath hai.

Jane kis kadar thi mohabbat hume unse,
Soch kar hui aaj aansuo se mulakat hai.

Kaisa junoon tha uske ishq me dil ro aya,
Aaj machal utha phir se wo jazbaat hai.

Tadap raha hai tanha chand bin chandani ke,
Is andheri raat me aaj kuch aur he baat hai.

Yu bhari mehfil me akela chood diya usne,
Aak kafan udha rahi mujhko yeh raat hai.

Friday, 17 January 2014

Dard Aur Tanhai

In aankho me na jane kyu maut simat aayi hai,
Jaise zindagi koi dard aur tanhai hai.

Karte hain sab chahat ki ibaadat,
Is ibaadat me na jane kyu ruswayi hai.

Logo k bheed me reh kar bhi hote hain hum tanha,
Ye aadat bhi to zindagi ne lagayi hai.

Kisi ki yaado me khud ko na barbaad karna,
Toot ti saaso ne hume samjhayi hai.

Unse rishta he kuch aisa raha k jab socha unke bare me to,
Hamari aankh bhar aayi hai.

Adhura Khawaab

Aaya ek lamha unki chahato me shamil hone ha,
Gawa baith wo mauka unke dil me utarne ka.

Na jane kyu humne unke pyar ko he naakar baithe,
The pyaar se anjaan hum jo unhe gawa baithe.

Rote hai dil he dil me,
Unhe khone ka dard rulane laga hai.

Jeene ko to khoob jiya hai humne,
Na jane kyu akelapan satane laga hai.

Adhuri Baato Ki Tarah

Bheej jati hai palke un dhoondli si yaado me,
Kho bhaith ta hun khud ko is duniya ki bheed me.
Reh jati hai khawaishe meri adhuri,
Un Adhuri Baato ki tarah..

Kuch khwaab jo aaj bhi meri aankho me hain,
Wo gujare pal roke nahi rukte.
Chaai hai khamoshi mere labo per,
Un Adhuri Baato ki tarah..

Khawaishe to hain ud k gagan ko chune ki,
Pata hun khud ko un gumo ki gahraiyo me.
Tut jate hain sapne mere,
Un Adhuri Baato ki tarah..

Adhoori Si

Jee rahe hain zindagi ko per kuch adhuri se hai,
Dard dil me hai aur hoto pe hasi wo bhi adhuri se hai.
Jiya karte the unke saath wo khushi ke pal,
Reh gayi hain yaadein un palo ki aaj bhi adhuri si hai.

Simat sa gaya tha mai tujhse kuch is kadar,
Bhool gaya tha khud ko na thi is jahan ki khabar.
Abto ho gaya hai saara jahan anjaana sa,
Chal rahi hai saase wo bhi adhuri si hai.

Lamhe jo beete tumhare saath bhool na sakange kabhi,
Abto wo beete pal na lautange kabhi.
Sameet rakhe hain unki yaado ko kuch is kadar,
Yaad karta hun unko to gam e zindagi lagti adhoori si hai.

Adhuri baatein karke

Utar gaye ho hamare dil me,
Adhuri baatein karke.

Tumahri chahat ka ye asar hai,
Jo zaare zaare me sama gaye ho.

Tum he to ho jo hamare,
Dil ki haado ko chukar gaye ho.

Tham lo mera haath,
Na karo duniya ki parwah.

Yu nazare jhuka k chale gaye ho,
hume deewana kar gaye ho.

Bhool gaye ho wo beeti yaadein sari,
Abhi se yu mukar gaye ho.

Dhoondti hai ye nazare hamari,
Ab aa bhi jao kahan chale gaye ho...