Thursday, 17 October 2013

Dil Ki Baat

Is tarah tumhara ghar se bahar jana theek nahi,
Abhi tum masoon ho zaalim zamana theek nahi.

Beeti yaaden dilo ko maila kar dengi,
Guzri hui baaton ko dohrana theek nahi.

Kuch cheezen door se he acchi lagti hai,
Chand ko apne paas bulana theek nahi.

Aao mere haatho ko apne haath me tham lo,
Saahil ko khali lautana bhi to theek nahi.

Khuli aankhon ke khwaab sach ho sakte hain,
Band aankoh ka khwaab sajana theek nahi.

Choor adhuri baaton ko in patthar dil insano ke liye
Apni mohabbat ki baat sabhi ko batana theek nahi.

Ishq Me Khud Ko Sanwarta Dekhu

Aap ke aane ke baad khud ko sanwarta dekhu,
Ek muddat se veeraan tha ab khud ko basta dekhu.

Isi tarah tum bahate raho muhjpe mohabbat ke jharne,
Aur isi mausam me khud ko main nikharta dekhu.

Mila nahi hun tumse phir bhi ye anokhi mohabbat hai,
Sochta hun bahot magar khud ko tumhare dil me utarta dekhu.

Chand lamhe jo tere ishq me nil jate hain,
In haseen lamhon ko sadiyon me badalta dekhu.

Mohabbat Mera Thikana

Mohabbat ne hume bata diya kaha mera thikana hai,
Resham ko dil me rakhna hai baki sab bhulana hai.

Dil me rakha han tasveer teri aankho me tumhe basaya hai,
Kisi aur ke baahon me mujhe zindagi nahi gawana hai.

Mohabbat ne hume bata diya kaha mera thikana hai,
Resham ko dil me rakhna hai baki sab bhulana hai.

Monday, 14 October 2013

​Mohabbat Ki Mahek

Gulaboon si mehakti khushboo ho gayi hun,
Mohabbat ki ek nanhi kali ho gayi hun.

Usne mujhe aisi nighoon se dekha,
Ab to ek pal me mai badi ho gayi hun.

Kiya hai waada sar e Aaam aane ka usne,
Ajj to sawar ke mai us raah per khadi ho gayi hun.

Nahi chuda paoge mujhse apna haath ab,
Mohabbat ki ek hath kadi ban gayi hun.

Na jane kaha kho gaya hai meri khushiyon ka mausam,
Anjane ghamon ki jhadi ban gayi hun.

Ab koi juda na kar payega mujhko tumse,
Ek aisi phoolo ki khushboo ban gayi hun.

​​Aghaz E Mohabbat

Apni zindagi me shamil hone ka ek mauka do hume,
Ho gayi hai tumse mohabbat ye kaise batayein tumhe,

Apni haseen aankho me chupa lo hume,
Agar hai humse mohabbat chura lo hume.

Pane ki tamanna bahot hai pe khone ka darr hai tumhe,
Na jao is qadar apni dhadkano me basa ho hume.

Dhoop ho ya chaawn chahange sirf tumhe,
Yaqeen na aaye to aazhama lo hume.

Mohabbat E Aghaz me apni zindagi dete hain tumhe,
Apni baahon me chupa lo bas hume.

​Toote taare ko

​Toote taare ko chamakta chand bana dala,
Teri Awargi ne mujhe Awara Bana dala.
Yaha peh hain hazaron chehre,
Tumne apne chehre ka hume noor bana dala.
Yahan ke haseenao ko dekh kar hairan ho jata hun,
Ek Resham si pari ne mujhe apna bana dala.
Aye khuda kaise ye karishma kar diya,
Ravi ko tune Resham ki zindagi ka hissa bana diya.
Teri marzi ke bina kisi ka zor chalta nahi,
Mujh jaise ko tune itni haseen zindagi de dala.