Saturday, 1 March 2014

Aayi tanhai ki kuch aisi raat hai,
Ke unse judi har yaad mere saath hai.

Jane kis kadar thi mohabbat hume unse,
Soch kar hui aaj aansuo se mulakat hai.

Kaisa junoon tha uske ishq me dil ro aya,
Aaj machal utha phir se wo jazbaat hai.

Tadap raha hai tanha chand bin chandani ke,
Is andheri raat me aaj kuch aur he baat hai.

Yu bhari mehfil me akela chood diya usne,
Aak kafan udha rahi mujhko yeh raat hai.

Friday, 17 January 2014

Dard Aur Tanhai

In aankho me na jane kyu maut simat aayi hai,
Jaise zindagi koi dard aur tanhai hai.

Karte hain sab chahat ki ibaadat,
Is ibaadat me na jane kyu ruswayi hai.

Logo k bheed me reh kar bhi hote hain hum tanha,
Ye aadat bhi to zindagi ne lagayi hai.

Kisi ki yaado me khud ko na barbaad karna,
Toot ti saaso ne hume samjhayi hai.

Unse rishta he kuch aisa raha k jab socha unke bare me to,
Hamari aankh bhar aayi hai.

Adhura Khawaab

Aaya ek lamha unki chahato me shamil hone ha,
Gawa baith wo mauka unke dil me utarne ka.

Na jane kyu humne unke pyar ko he naakar baithe,
The pyaar se anjaan hum jo unhe gawa baithe.

Rote hai dil he dil me,
Unhe khone ka dard rulane laga hai.

Jeene ko to khoob jiya hai humne,
Na jane kyu akelapan satane laga hai.

Adhuri Baato Ki Tarah

Bheej jati hai palke un dhoondli si yaado me,
Kho bhaith ta hun khud ko is duniya ki bheed me.
Reh jati hai khawaishe meri adhuri,
Un Adhuri Baato ki tarah..

Kuch khwaab jo aaj bhi meri aankho me hain,
Wo gujare pal roke nahi rukte.
Chaai hai khamoshi mere labo per,
Un Adhuri Baato ki tarah..

Khawaishe to hain ud k gagan ko chune ki,
Pata hun khud ko un gumo ki gahraiyo me.
Tut jate hain sapne mere,
Un Adhuri Baato ki tarah..

Adhoori Si

Jee rahe hain zindagi ko per kuch adhuri se hai,
Dard dil me hai aur hoto pe hasi wo bhi adhuri se hai.
Jiya karte the unke saath wo khushi ke pal,
Reh gayi hain yaadein un palo ki aaj bhi adhuri si hai.

Simat sa gaya tha mai tujhse kuch is kadar,
Bhool gaya tha khud ko na thi is jahan ki khabar.
Abto ho gaya hai saara jahan anjaana sa,
Chal rahi hai saase wo bhi adhuri si hai.

Lamhe jo beete tumhare saath bhool na sakange kabhi,
Abto wo beete pal na lautange kabhi.
Sameet rakhe hain unki yaado ko kuch is kadar,
Yaad karta hun unko to gam e zindagi lagti adhoori si hai.

Adhuri baatein karke

Utar gaye ho hamare dil me,
Adhuri baatein karke.

Tumahri chahat ka ye asar hai,
Jo zaare zaare me sama gaye ho.

Tum he to ho jo hamare,
Dil ki haado ko chukar gaye ho.

Tham lo mera haath,
Na karo duniya ki parwah.

Yu nazare jhuka k chale gaye ho,
hume deewana kar gaye ho.

Bhool gaye ho wo beeti yaadein sari,
Abhi se yu mukar gaye ho.

Dhoondti hai ye nazare hamari,
Ab aa bhi jao kahan chale gaye ho...

Yaadein

Phir aayi unki yaad un adhuri raato me,
Ajeeb si hulchul hui ik saya sa lehraya,
Un Adhuri raato me.

Phir aas jagi aitbar tutne ka,
Wo mohabbat thi ya tanhai,
Un Adhuri raato me.

Thi mohabbat unko bhi, chahat jagi hamari bhi,
Phir aitbaar kyu tuta, Raas nahi aayi mulaquat,
Un Adhuri raato me.

Aaya khayal mann me, na jagao khwab unhe pane ka,
K aitbaar e mohabbat tuti wahi, bhula diya khud ko zamane se,
Un Adhuri raato me.

Aye Sanam

Tere bin thi zindagi adhuri aye mere sanam,
Sach kehta hun yaqeen karlo O mere humdam.

Simat sa gaya hun tumhari yaado me,
Tu jo mili hai to mila hai mujhe saari khushi aye sanam.

Kabul kiya hai rab ne meri dua pyar mila hai tera ab mujhe,
Ab na hai koi khawish badle me tere aye sanam.

Na hai koi chahat mujhko tera daman he duniya hai meri,
Lagte hai tere zulm bhi mujhko pyare se aye sanam.

Chaha hoga na tujhko itna kabhi koi mere sanam,
Dil se puch ke dekh le O mere sanam.

Khatam hua hai intezar aaj mera paake tujhko aye sanam,
Ab ja ke sukun mila hai mujho puch le mere dil se aye sanam.

Reh gayi zindagi kitni adhuri

Yeh zindagi ka dastoor hai ka koi majboori
Hum kyu ho na sake kisi ke
Kyu reh gayi ye zindagi kitni adhuri.

The kuch khawaab hamare bhi kai chote se sapne bhi,
Na jane wo kahan kho gaye kabhi hua karte the apne bhi.

Na jane wo hume chood kar kyu chal diye bujh se gaye saare diye,
Diya hain sitam kitne tune aye Ishq ab jiye bhi to kiske liye.

Mar to jau aaj bhi mai per wo waada hai yaad hume,
Kasamey to saari tooti per Mohabbat hai abhi bhi yaad hume.

Yeh zindagi ka dastoor hai ka koi majboori
Hum kyu ho na sake kisi ke
Kyu reh gayi ye zindagi kitni adhuri.

Mehsoos hoti hai

Har pal unki kami mehsoos hoti hai,
Kyu ye zindagi adhuri si mehsoos hoti hai.

Na jane kyu ye palken nam si hui hain aaj,
In aankhon me shabnami si boond mehsoos hoti hai.

Ab to hotho pe unka naam aate bhi nahi,
Judai me unki ek tadap si mehsoos si hoti hai.

Khayi thi kasam hamesha saath nibhane ki,
Wo kasam badi mehsoos hoti hai.

Meri Adhuri Kahani

Adura sa mai meri adhuri kahani,
Adhure se jeevan me mere adhure pan ki nishani.
Meri adhuri kavita sunati hai kuch kisse purani,
Soch hun bete lamho ko ban jati hai kahani.

In adhuri aankho me rehte hain sapne adhure,
Khawishe thi bahot per chahate thi adhuri.
Chood chuke hain bachpan ko peeche,
Adhure se safar me ye adhuri jawani.

Adhuri si manzil ko uljhati ye adhuri dishaye,
Gehre gumo me uljha hua mera adhura kal.
Adhuri si roshni me bhatakta hua mera bhavishya,
Hun adhura aaj bhi mai dhoondta hun adhuri muskan suhani.

Uljhe hue rishto me adhuri si khushiyan,
Adhuri hai duniya adhure hain hum.
Ho gayi hai mohabbat bhi adhuri,
Bas zindagi se yehi shikayat hai purani.

Meri Adhuri Daastan

Chooti si zindagi bade hain armaan,
Lo sunate hai aapko apni adhuri daastan.
Farz aur rishto ko nibhate hue,
Kho gaye saare sapne na jane kahan.

Milange wo hume aisa humne socha bhi na tha,
Hum hain yahan aur na jane wo kahan.
Band hain saare armaan is dil me,
Un armaano ko alfaaz dedu ab himmat kahan.

Chayi hai andheri raat ab kuch baaki bhi nahi,
karne ko kuch baatein ab tanhai milti hai kahan.
Kaat rahe hain zindagi ko ek saaza ke tarah,
Kya khoye hum ab to kuch bacha he nahi.

Leke gum kabke khushi baatata phirta hun,
Khud ke liye ab jeleu aisi waqt kahan.
Haqiqat to ban gaye hain ab patthar se,
keh to diye hain sab kuch ab kehne ko baaki kahan.

Har Lamha Yaad Aata Hai Ab To....

Karta hun yaad tere sang bitaya hua har lamha ab to,
Chale aao k tumhari yaad bahot rulati hai hum ko .

Tere galiyon ke log bahot satane lage hain ab to,
Pata nahi hai tumhare aashiyane ka hum ko.

Chahe chupana chaho lakh humse jaante hain phir bhi hum ab to,
Har waqt tumhari aankhen dekhti hai hum ko.

Jhankta hun khud me to khayal aata hai ab to,
Tere bin zindagi behaal lagti hai hum ko.

Hun mai kamjoor musafir andheron ki nagri ka ab to,
Ujala raas nahi aata hai hum ko.

Kar lu tera deed ye pyaas jaagi hai ab to,
Tujh sang betayi hue pal chain deti hai hum ko.

Tamasha dekhne wale hamare pyar ka kam nahi hai ab to,
Diye hain ruswayiyon ko saugaat tere apno ne hum ko.

Ek Khawaab Tujhe Pane Ka

Badh si gayi hai dil ki dhadkan aaj meri,
Aankhon me jaise neend hai aaj meri.

Jaag raha hun teri yaad me ab tak,
Ek halchal si jagi mann me aaj mere.

Chahta hun mai bhi khushiyon soona,
Tere pyare sapno me mujhe bhi hai khona.

Dua meri rabb se yahi hai ke,
Mil jaye tere dil me ek choota sa koona.

Beet chuki hai raat ho gaya hai sabera abto,
Na jane kyu bijili ab bhi mann me tadak rahi hai

Na to bhook hai mujhe na ab pyaas hai,
Lagta hai tere prati praay ka eahssas hai.

Jyada kuch to gujarish nahi hai,
Sirf tere sang zindagi bitane ki aas hai.

Pyaar Ka Tohfa

Nahi diya kisi ne is dil ko pyar ka tohfa,
Zindagi hum bhi they kisi ne hume jiya he nahi.

Tha ek roop suraj aur chand se bhi haseen,
Ek aise jahan me jaha koi diya he nahi.

Shikayat kare bhi to kis se kare hum,
Hum se wafa ka wada kisi ne kya he nahi.

Hume to khabar he na tha Khushiye ke bare me,
Un per to kisi gum ka saaya he nahi.

Ek din ghar pe is jahaan ke farishte bhi aye the,
Hume unka aana bhi raas aaya he nahi.

Mausam ka mijaaz he kuch nirala tha,
Haatho me phool the per khile he nahi.

Maanga the humne mohabbat ko us kainaat se,
Tha hamare paas jo wo bhi loot gaya aur kuch mila he nahi.